Sunday, 18 June 2017

Papa

Papa,



Jab me paida hui, sabne kaha, ladki paida hui hai, ye kya karegi?
Aapne unhe muh tod jawab diya - aapke beton ne kya nihaal kiya h?

Me thodi badi hui, aapne mujhe hath pakad kar chalna sikhaya,
Mjhe ghanton cycle par humaya.
Aapke kandhon par chadh kar maine mela dekha.
Kamar par chadhkar ghoda-ghoda khela hai..  :)

Aap office se ghar kabhi der se aate the.
Me aapka intazaar kare karte deewan par so jati thi.
Aap mujhe godi me lekar, mere hath me colors thamar mjhe kamre me sula diya karte the.

Aaadhi raat me mujhe darr lagta tha, to appke paas aa ghr dera jama liya karti thi..
Mujhe thand lagti to apni rajai mujhe udha diya karte the.

Mere birthday par sabse bada gift aap hi ka hua karta tha,
Kitne dino pehle se mujhe dress dilane le jate the.
School me kausi toffees baatni hain, ek raat pehle tak bhi decide nahi kar pati thi,
Par aap end moment tak jo bhi bolu la kar dete the.  :P

School me teachers agar daat lagate to aap hamesha unhe yahi kehte - "She's learning, that's why she's making mistakes. She will grow to be. Right beta?"
Agar kabhi tabiyat kharab hone ka naatak karti, to school nhi bhejne ke liye mummy ko manate.

Har wo cheez di jo maangi, mera har nakhra jhela.
Jo kaam krne ka kehti thi, khud karne ki jagah mujhe sikhaya taki mujhe aage koi takleef na ho.
Har us insaan se ladne ko taiyar rhete the jisne mujhe pareshan karne ke baare me soch maatr bhi

Meri exams ke samay me jaagti thi to mummy ke sath aap bhi jaage ho.
Me tension me hoti thi to aapko bhi nind nhi aati thi.
Hamesha kehte the "beta soja, tension mat le, jo hoga achcha hoga"
Exam ke pehle jitni novels mujhse le liya karte the ussey double mujhe exam centre se nikalne ke turant baad dilaya karte the.

Jab maine top kiya, jab maine prizes jeete, aapki aankhon ki khushi avanrnaneeya rahi hai.
Jab maine job karna shuru kiya, jisse bhi mere baare me baat karte ho, aapko gauravanvit dekh kar meri khushi ka thikana nahi rehta.

Me aage bhi koshish karti rahungi ki aapki aankhon ki chamak bani rahu aur aapko hamesha hi mujh par garv karne ka kaaran du.

Me is janam mein to chah kar bhi aapka dhanyawaad nahi kar skti
Kyunki jo bhi aapne kiya hai, agar me uska 10% bhi kar paun to me khud ko ek achchi insaan maanungi.

Me shayad paryaapt roop se aabhaar prakat nahi karti hu roz marra ke jeevan mein par jo bhi me likh rahi hoon shayad ussey me apni bhaawnayen aap tak pahucha sakoon.

Papa, thank you for being my Superman.



Love you loads! :*

Though one day is not enough to thank you for all you are, but happy father's day..I hope I make you proud. :)

No comments:

Post a Comment